junūn-e-be-ḳhudī ke sāz-o-sāmāñ dekhne vaale
baḌī hairat meñ haiñ merā garebāñ dekhne vaale
tumhārī zulf kī uljhan meñ phañs kar niiñd kho baiThe
kabhī sote nahīñ ḳhvāb-e-pareshāñ dekhne vaale
abhī bhaḌkegā soz-e-ġham abhī ye zaḳhm kūdeñge
zarā Thahreñ mire dil kā charāġhāñ dekhne vaale
mirī Thahrī huī duniyā meñ halchal sī machā Daalī
dabe-pāñv chaleñ gor-e-ġharībāñ dekhne vaale
kahīñ sotī huī duniyā na pā.emāl ho jaa.e
zarā āhista ai gor-e-ġharībāñ dekhne vaale
uThā.eñge na ai 'naḳhshab' kabhī nazreñ sū-e-jannat
tasavvur meñ bahār-e-kū-e-jānāñ dekhne vaale