Nakhshab Jaarchawi

imtiyaz-e-husn-o-ulfat aashkara ho gaya

Nakhshab Jaarchawi

imtiyāz-e-husn-o-ulfat āshkārā ho gayā
tum na mere ho sake aur maiñ tumhārā ho gayā
jaane kyā dil ko mohabbat meñ sahārā ho gayā
yā ḳhushī bhī baar thī yā ġham gavārā ho gayā
maiñ kahāñ aur jur.at-e-arz-e-niyāz-e-dil kahāñ
haañ magar terā hī dar-parda ishāra ho gayā
kyā mohabbat dar-haqīqat hai mohabbat kā javāb
tum bhī ho jāoge us ke jo tumhārā ho gayā
qalb-e-jur.at-āzmā kuchh fitratan bebāk hai
aur agar aise meñ terā bhī ishāra ho gayā
shiddat-e-ġham aur phir tākīd-e-zabt-e-āh bhī
lekin ik majbūr-e-ulfat ko gavārā ho gayā
ab to har ik baat par āñkhoñ meñ bhar aate haiñ ashk
chaar din meñ haal kyā 'naḳhshab' tumhārā ho gayā
Top Urdushayar.com