is qadar ab ġham-e-daurāñ kī farāvānī hai
tū bhī minjumala-e-asbāb-e-pareshānī hai
mujh ko is shahar se kuchh duur Thahar jaane do
mere ham-rāh mirī be-sar-o-sāmānī hai
aañkh jhuk jaatī hai jab band-e-qabā khulte haiñ
tujh meñ uThte hue ḳhurshīd kī uryānī hai
ik tirā lamha-e-iqrār nahīñ mar sakta
aur har lamha zamāne kī tarah faanī hai
kūcha-e-dost se aage hai bahut dasht-e-junūñ
ishq vāloñ ne abhī ḳhaak kahāñ chhānī hai
is tarah hosh gañvānā bhī koī baat nahīñ
aur yuuñ hosh se rahne meñ bhī nādānī hai