Nakhshab Jaarchawi

dil mera KHugar-e-alam hua jata hai

Nakhshab Jaarchawi

dil mirā ḳhūgar-e-ālām huā jaatā hai
ab sitam bhī tirā in.aam huā jaatā hai
zabt-e-ġham maut kā paiġhām huā jaatā hai
dil kī bātoñ meñ mirā kaam huā jaatā hai
nisbat-e-ḳhās to hai zulm pe yuuñ shaad the ham
ye bhī andāz tirā aam huā jaatā hai
terī maḳhmūr nigāhoñ ke tasadduq meñ koī
vāqif-e-rāz-e-mai-o-jām huā jaatā hai
tark-e-ulfat se junūñ mujh ko huā yuuñ hī sahī
husn kyuuñ larza-bar-andām huā jaatā hai
dil jo thā sāġhar-e-sahbā-e-sukūñ ai 'naḳhshab'
markaz-e-gardish-e-ayyām huā jaatā hai
Top Urdushayar.com