nazar ko hāmil-e-barq-e-jamāl kar na sakā
ġhurūr-e-husn ko maiñ pā.emāl kar na sakā
vo aane vaale zamāne ko kyā bānegā
jo aaj tak mire maazī ko haal kar na sakā
shikast-e-dil kā mire raaz aap kyā jāneñ
malāl hī na huā yā malāl kar na sakā
mujhe latīf sitam se karam ke pardoñ meñ
kuchh us ne aise miTāyā malāl kar na sakā
hujūm-e-ġham rahā 'naḳhshab' magar maiñ apne liye
sharāb-o-shāhid-o-naġhma halāl kar na sakā