Nakhshab Jaarchawi

wade ka etibar to hai waqai mujhe

Nakhshab Jaarchawi

va.ade kā e'tibār to hai vāqa.ī mujhe
ye aur baat hai ki hañsī aa ga.ī mujhe
laa.ī hai kis maqām pe vāraftagī mujhe
mahsūs ho rahī hai ab apnī kamī mujhe
samjhe haiñ vo junūñ to junūñ hī sahī mujhe
dānista ab badalnī paḌī zindagī mujhe
jalvoñ kī raushnī meñ jo khoyā thā pā gayā
tum se nazar milī to mohabbat milī mujhe
māhaul sāzgār-e-mizāj-e-vafā na thā
duniyā se bach ke un kī nazar dekhtī mujhe
yuuñ rabt-o-zabt-e-shauq baḌhāyā ba-tarz-e-nau
jaise ki pahle un se mohabbat na thī mujhe
'naḳhshab' miTāyā jis ne vafāoñ kī aaḌ meñ
us bevafā se phir bhī mohabbat rahī mujhe
Top Urdushayar.com