Nakhshab Jaarchawi

kabhi tumne bhi ye socha ki hum fariyaad kya karte

Nakhshab Jaarchawi

kabhī tum ne bhī ye sochā ki ham fariyād kyā karte
tumhārā dil dukhā kar apne dil ko shaad kyā karte
mirī barbādiyoñ par hañsne vaalo ye to samjhā do
jo mil jaatā tumhīñ ko ye dil-e-barbād kyā karte
nigāh-e-yās meñ jab nāla-e-ḳhāmosh pinhāñ hai
to phir hoñThoñ ko ham sharminda-e-faryād kyā karte
dam-e-āḳhir bhī ai dil ḳhud-farebī hichkiyāñ kaisī
jo dānista bhulā baiThe vo tujh ko yaad kyā karte
mujhe dekhā to har ik ne unheñ jallād Thahrāyā
unheñ dekhā to bole ye bhalā bedād kyā karte
zamāna jāntā hai hazrat-e-'naḳhshab' kī ḳhud-dārī
ḳhilāf-e-aql hai vo ārzū-e-dād kyā karte
Top Urdushayar.com