Nakhshab Jaarchawi

wo kaun hai jo halak-e-nigah-e-naz nahin

Nakhshab Jaarchawi

vo kaun hai jo halāk-e-nigāh-e-nāz nahīñ
maiñ kuchh nahīñ huuñ agar chashm-e-imtiyāz nahīñ
kamāl-e-ishq meñ bhī lazzat-e-majāz nahīñ
taḌap rahā huuñ magar dil meñ soz-o-sāz nahīñ
to kyuuñ vo garmī-e-mahfil vo dil-kashī na rahī
niyāz-mand agar jān-e-bazm-e-nāz nahīñ
ḳhalish ke saath taḌap hai taḌap ke saath ḳhalish
hamāre zāhir-o-bātin meñ imtiyāz nahīñ
ye vo kahe jo zamīroñ kā paḌhne vaalā hai
talab nahīñ hai jo dast-e-talab darāz nahīñ
abhī karam meñ yaqīnan sitam bhī shāmil hai
ki dil ma.āl-e-mohabbat se be-niyāz nahīñ
paḌā hai in se mohabbat kā vāsta 'naḳhshab'
ki jin ko ishq-o-havas meñ kuchh imtiyāz nahīñ
Top Urdushayar.com