Nakhshab Jaarchawi

nigah-e-qahr-parwar ko bhi tamhid-e-KHushi samjhe

Nakhshab Jaarchawi

nigāh-e-qahr-parvar ko bhī tamhīd-e-ḳhushī samjhe
samajhnā hai to koī ham se rāz-e-zindagī samjhe
vafāoñ kā natīja ham to jo kuchh hai samajhte haiñ
magar ai kaash anjām-e-jafā vo bhī kabhī samjhe
use dair-o-haram meñ jāzbiyyat kyā nazar aa.e
jo terī diid ko asl-e-mazāq-e-bandagī samjhe
hameñ to ḳhair jo kuchh aap ne chāhā vo samjhāyā
magar ye to zarā samjhā.iye kuchh aap bhī samjhe
bhalā 'naḳhshab' tire is be-niyāzāna ravayye ko
kamāl-e-qurb jaane yā mohabbat kī kamī samjhe
Top Urdushayar.com