Abdul Hameed Saqi

lahu ki bund misl-e-aina har dar pe rakkhi thi

Abdul Hameed Saqi

lahū kī buuñd misl-e-ā.ina har dar pe rakkhī thī
sanad ahl-e-vafā kī lāsha-e-be-sar pe rakkhī thī
nigāheñ vaqt kī kaise nazar-andāz kar detīñ
asās-e-gulsitāñ katre hue shahpar pe rakkhī thī
anā majrūh ho jaatī qadam pīchhe agar haTte
binā-e-qurb dohrī dhaar ke ḳhanjar pe rakkhī thī
idhar ham sar hathelī par liye maqtal meñ pahuñche the
udhar qātil ne ghabrā kar hathelī sar pe rakkhī thī
ḳhudī kī raushnī meñ maiñ ne dekhā hai aqīdat ko
ḳhudā.ī varna aazar kī mirī Thokar pe rakkhī thī
ḳhulūs-o-mehr ke paanī ne ThanDā kar diyā āḳhir
jo tum ne aag nafrat kī dil-e-muztar pe rakkhī thī
liyā jaatā na kaise imtihān-e-zarf ai 'sāqī'
nazar har ek bāda-ḳhvār ne sāġhar pe rakkhī thī
Top Urdushayar.com