Abdul Hameed Saqi

is se pahle ki hamein ahl-e-jafa ruswa karen

Abdul Hameed Saqi

is se pahle ki hameñ ahl-e-jafā rusvā kareñ
apnī jaañ de kar vafā karne kā ham va.ada kareñ
aao shabnam kī tarah ban jaa.eñ taqdīr-e-chaman
kyuuñ kalī ban kar khileñ aur khil ke murjhāyā kareñ
gulshan-e-hastī meñ ham sāvan ke bādal kī tarah
jhuum kar uTThā kareñ aur TuuT kar barsā kareñ
ḳhāka-e-ulfat meñ ḳhuuñ bharnā thā ham ne bhar diyā
log ham ko bā-vafā yā be-vafā samjhā kareñ
apnī āñkhoñ kā samundar bah ke to ḳhāmosh hai
dil ke andar kī sulagtī aag ko ham kyā kareñ
ek hī chullū hai kaafī ahl-e-ġhairat ke liye
Duub marne ke liye kyuuñ ḳhvāhish-e-dariyā kareñ
kho ke kyā paayā hai ham ne pā ke kyā kuchh kho diyā
aa.ine meñ vaqt ke saaqī ye andāza kareñ
Top Urdushayar.com