tire baġhair lag rahā hai ye safar ḳhamosh hai
havā thamī huī hai aur rahguzar ḳhamosh hai
haiñ apnī apnī jā pe donoñ muztarib ki kyā kareñ
tirī nigah meñ shor hai mirī nazar ḳhamosh hai
tirī sadā.eñ aa nahīñ rahī haiñ is sukūt meñ
ki hoñT hil rahe haiñ tere tū magar ḳhamosh hai
pukārtā huuñ apne-āp ko ki mar na jā.ūñ maiñ
magar pukār par mirī tarah nagar ḳhamosh hai
koī to guñg rah gayā kisī ko saañp Das gayā
ki baam chup hai dar khulā paḌā hai ghar ḳhamosh hai