nahīñ ki zinda hai bas ek merī zaat meñ ishq
maiñ sach kahūñ to faqat hai hī kā.enāt meñ ishq
maiñ ishq-zād charāġhoñ kī bazm meñ rahā huuñ
so jal rahā hai abhī mere daa.eñ haat meñ ishq
vo husn nuur kī bārish meñ jab nahā rahā thā
machal rahā thā bahut tab tajalliyāt meñ ishq
maiñ sochtā huuñ ki kyā hotā dahr meñ har sū
agar na hotā kahīñ tere shash-jahāt meñ ishq
qalam se likkhā gayā hai varaq pe harf-e-sukūt
taḌap rahā hai mirī nīlgūñ davāt meñ ishq
kahīñ pe zinda hai ye jiit ke har ik baazī
kahīñ pe raushaniyāñ kar rahā hai maat meñ ishq
kahīñ haiñ duniyā kī rañgīniyāñ ta.āqub meñ
kahīñ jhalaktā hai merī har ek baat meñ ishq