tez hai merā qalam talvār se
dost ḳhā.if haiñ mirī raftār se
jeb meñ kuchh bhī nahīñ thā is liye
lauT kar maiñ aa gayā bāzār se
jholiyāñ bhar bhar ke jaate haiñ sabhī
nausha-e-lajpāl ke darbār se
phir rasā.ī meñ nahīñ rah paayā vo
chāñd uupar ho gayā dīvār se
aap ġhusse meñ raheñ aur mere dost
luuT kar sab le ga.e haiñ pyaar se
ek dil TuuTā huā hai ek maiñ
aur kuchh jazbāt haiñ be-kār se
thoḌā thoḌā ḳhud se maiñ ḳhā.if rahā
thoḌā thoḌā ġhaib ke asrār se