musalsal ik mashaqqat be-sabab hai
mohabbat bhī bahut mehnat-talab hai
tumhārā ġham hai rishta-dār merā
tumhārī yaad hī merā nasab hai
tum aa jaate to achchhā thā magar ab
mire dil meñ yahī ik aas kab hai
yūñhī aate nahīñ ahvāl takne
vo aa.e haiñ to phir koī sabab hai
mire dālān meñ ganjīna-e-yād
muravvat āshtī uftād sab hai
maiñ raushan huuñ tire partav ke baa.is
mire chehre pe terī tāb-o-tab hai
qayāmat kī ghaḌī guzrī hai aur tū
abhī maujūd-o-zinda hai ajab hai