tire liye to mire paas bas duā hai yaar
tū is zamīñ pe bahut ūñchā uḌ rahā hai yaar
ye khiḌkiyāñ to mujhe aur kah rahī haiñ kuchh
samajh mire dil nādān ye huā hai yaar
ye duniyā-dār mujhe kis tarah se dekhte haiñ
ki ye bashar hai farishta hai devtā hai yaar
agar ye shauq nahīñ hai to kyā hai batlā de
tū kis liye mujhe khiḌkī se jhāñktā hai yaar
tū jis ko DhūñD rahā hai tujhe milegā nahīñ
vo shaḳhs mujh se kahīñ kab kā jā chukā hai yaar
ye tīrgī kī haiñ āñkheñ ki hijr kī lau hai
jo jal rahā hai vahāñ sāmne diyā hai yaar
tū jaanā chāhtā hai to tujhe ijāzat hai
magar patā to chale maiñ ne kyā kahā hai yaar