Ezaz Kazmi

tere baghair nahin dekh jhank kar koi

Ezaz Kazmi

1990
tire baġhair nahīñ dekh jhāñk kar koī
ye dil vo dil thā ki jis kā nahīñ thā dar koī
batā de vahshatoñ kī fauj ko chalī jaa.e
batā de jā ke nahīñ yuuñ bhī aaj ghar koī
maiñ jā rahā huuñ fasīlo, darḳhto tasvīro
so tum meñ to nahīñ hai merā ham-safar koī
use kaho ki kisī ko tirī zarūrat hai
kaho ki jāgtā rahtā hai rāt-bhar koī
ye dasht dasht nahīñ lag rahā mujhe 'e.azāz'
ki maiñ ne chhoḌī nahīñ us kī rahguzar koī
Top Urdushayar.com