ḳhurshīd-rū kī sohbat jo ab nahīñ to phir kab
shabnam kī tarah qurbat jo ab nahīñ to phir kab
zarre kī tarah mujh par ik mahr kī nazar kar
dekhe vo mehr-e-tal.at jo ab nahīñ to phir kab
joḌā hai za.afrānī us gul-badan ke bar meñ
ḳhush ho mirī tabī.at jo ab nahīñ to phir kab
ālūda-dāmanī ko dhone ko muntazir huuñ
bārish de abr-e-rahmat jo ab nahīñ to phir kab
is baaġh meñ do-roza hai ishq-e-zindagānī
gul kī tarah bashāshat jo ab nahīñ to phir kab