siine meñ ḳhizāñ āñkhoñ meñ barsāt rahī hai
is ishq meñ har fasl kī sauġhāt rahī hai
kis tarah ḳhud apne ko yaqīñ aa.e ki us se
ham ḳhāk-nashīnoñ kī mulāqāt rahī hai
suufī kā ḳhudā aur thā shā.er kā ḳhudā aur
tum saath rahe ho to karāmāt rahī hai
itnā to samajh roz ke baḌhte hue fitne
ham kuchh nahīñ bole to tirī baat rahī hai
ham meñ to ye hairāni-o-shorīdgi-e-ishq
bachpan hī se minjumla-e-ādāt rahī hai
is se bhī to kuchh rabt jhalaktā hai ki vo aañkh
bas ham pe ināyāt meñ mohtāt rahī hai
ilzām kise deñ ki tire pyaar meñ ham par
jo kuchh bhī rahī hasb-e-rivāyāt rahī hai
kuchh 'mīr' ke hālāt se hāsil karo ibrat
le de ke ab ik izzat-e-sādāt rahī hai