zāhid nahīñ masjid se kam hurmat-e-mai-ḳhāna
mastoñ kī jamā.at meñ mehrāb hai paimāna
kyuuñ zulf tirī uljhī rahtī hai ai jānāna
hāzir hai dil-e-sad-chāk darkār ho gar shāna
dekhe jo tirī sūrat ho jaa.e hai dīvāna
hai aks se tujh ruḳh ke ā.īna parī-ḳhāna
is dil kā mire jalnā rakhtā hai vo kaifiyyat
dekhegā jo parvāna ho jā.egā mastāna
ik naqd-e-nigah par 'ishq' biktā hai to kar saudā
de bahr-e-ḳharīdārī dīdār kā bai.āna