balā se ḳhalq ho be-dard ishq kyā ġham hai
jarāhat-e-dil-e-mahzūñ kā dard marham hai
jahāñ meñ ġham se kui ishrat-kada nahīñ ḳhālī
hai sham.a bazm meñ giryāñ chaman meñ shabnam hai
huuñ āb-dīda maiñ nargis pe dekh kar shabnam
ki aah chashm kī sūrat bhī ashk se nam hai
rakhe hai lutf shabistān-e-bazm-e-mun.im lek
svād-e-shām-e-ġharībāñ kā aur aalam hai
guloñ kā chaak garebāñ haiñ bulbuleñ nālāñ
chaman meñ 'ishq' ḳhudā jaane kis kā mātam hai