na ā.īna hī us sūrat ke aage hakkā-bakkā hai
siyāhī dekh us ke ḳhat ke mad kī dil meñ lukkā hai
huā insāñ numāyāñ nūr-e-zāt-e-pāk-vahdat se
ki jyuuñ ḳhurshīd ke partav se zarre meñ jhamakkā hai
huā aḳhbār se sābit savāb-e-hajj-e-akbar hai
ziyārat kar le ai ġhāfil dil-e-āgāh makka hai
bachā niiñ koī us zālim ke jaur-e-chashm-o-mizhgāñ se
vahāñ ā.īna bhī shān-e-asal kā sā shabakkā hai
jhukā kar ek maiñ sar naam apnā kar diyā raushan
funūn-e-ishq meñ kam koī parvāna sā pakkā hai
mavālī-e-alī kā hai ba-ḳhair anjām buujh ai 'ishq'
ḳhudā hāfiz tirā dozaḳh bhī ik shara.ī-e-dikkā hai