tark ḳhvāhish-e-zar kar kīmiyā-garī ye hai
dil meñ rakh ḳhayāl-e-dost shīsha-o-parī ye hai
dekh ho ga.ī nargis baaġh meñ tujhe hairāñ
shoḳh-chashm jādūgar terī sāhirī ye hai
zulf terī afsūñ-gar chashm terī pur-jādū
vo hai sehr-e-bangāla sehr-e-sāmrī ye hai
mere aah bharne par shab ko tū jo hañstā hai
vo ajab havā.ī hai zor-e-phuljhaḌī ye hai
saal tab the pal jaise aan ab qaran sī hai
vasl ke baras vo the hijr kī ghaḌī ye hai
māh-rū ke kānoñ meñ goshvāre raḳhshāñ haiñ
dekh 'ishq' vo zohra aur mushtarī ye hai