rakhtā huuñ talā.ī rañg aur ashk bhī motī hai
mun.im ke bhī ghar āḳhir daulat yahī hotī hai
sumbul kī pareshānī kab kam thī ki phir tis par
shabnam jo sarishk us ke mizhgāñ meñ pirotī hai
aalī se maiñ jā pūchhā kyā vāqi.a yaañ guzrā
gul chāk-garebāñ hai shabnam hai ki rotī hai
dam sard hī vo bhar kar ye mujh se lagā kahne
har sub.h gulistāñ kī hālat yahī hotī hai
'ishq' apnī fanā kā ḳhauf sarkash ke nahīñ dil meñ
kab sham.a ye hai raushan jo sub.h bhī hotī hai