ā.īna kabhī qābil-e-dīdār na hove
gar ḳhaak ke saath us ko sarokār na hove
kyā ḳhaak kaho us meñ tajallī ho numāyāñ
ḳhurshīd kā jo zarra parastār na hove
gar mehr na ho daaġh ke ulfat kī gavāhī
manzūr mire dard kā tūmār na hove
dil ḳhvāb kī ġhaflat se mabādā kahīñ chauñke
ye fitna-e-ḳhvābīda hī bedār na hove
ishq ahl-e-vafā biich use qadr hai kyā ḳhaak
vo dil ki jo gard-e-rah-e-dildār na hove