sabab kyā pūchhte ho ishq kī āshufta-hālī kā
divāna hai kisū dilbar kī vaz-e-lāubālī kā
bharā hai shahd kānoñ meñ samā.at kī halāvat se
kahūñ kyā zā.iqa shīrīñ-dahan kī ḳhush-maqālī kā
tirī āñkhoñ ke aage ro ke āh-e-sard bhartā huuñ
ki nit hai zauq mastoñ ko havā-e-barshagālī kā
dil-e-be-tāb jiyūñ sīmāb-hasrat se taḌaptā hai
adā se jab lahaktā hegā motī us kī baalī kā
kiyā huuñ ishq meñ tārīf us mah-rū ke abrū kī
har ik misra.a hai merā rashk dīvān-e-hilālī kā