agar sābit-qadam ho ishq meñ jiyūñ sham.a jal sakiye
muqābil tund-ḳhū kī teġh-e-abrū ke sambhal sakiye
hamāre ashk-e-ḳhūnīñ ne hinā.ī rañg laayā hai
are dil us ke paañv par ye āñkheñ ab to mal sakiye
palak se jis tarah aañsū guzar jaatā hai ik pal meñ
sirāt upar ḳhudā kā fazl shāmil ho to chal sakiye
nikalnā said kā sayyād ke phāñde se mushkil hai
nahīñ āsān ai dil dām-e-duniyā se nikal sakiye
lagī jab sham.a kī sī tarah ātish ishq ke sar ko
tasavvur shola-rū kā bāñdh kar jal jal pighal sakiye