lag rahī jis tarah laala ke saare ban ko aag
dil ko apne daaġh dev ai āshiqo aur tan ko aag
gul pe ye shabnam nahīñ paanī chhiḌaktī hai bahār
hā.e-re kinne lagā.ī aa ke is gulshan ko aag
ham siyah-baḳhtoñ kā kyūñ-kar rā.egāñ jaave vabāl
shaam niiñ phūlī ye laagī hai falak ke tan ko aag
chal 'yaqīñ' kī baat par ai 'ishq' ham bhī jal mareñ
kyā hī phūlā hai palās aur lag rahī hai ban ko aag