tere chehre kī tarah aur mire siine kī tarah
merā har sher damaktā hai nagīne kī tarah
phuul jaage haiñ kahīñ tere badan kī mānind
os mahkī hai kahīñ tere pasīne kī tarah
ai mujhe chhoḌ ke tūfān meñ jaane vaalī
dost hotā hai talātum meñ safīne kī tarah
ai mire ġham ko zamāne se batāne vaalī
maiñ tirā raaz chhupātā huuñ dafīne kī tarah
terā va.ada thā ki is maah zarūr aa.egī
ab to har roz guzartā hai mahīne kī tarah