safhe pe kab chaman ke havā se ġhubār hai
ye apne sar pe ḳhaak uḌātī bahār hai
shabnam kā kuchh nahīñ gul-e-nargis o pur-asar
ye dekh lo bahār kī chashm ashk-bār hai
ye shāḳh-e-gul pe ġhuncha-e-gul se bahār kā
yaaro dil-e-girafta dekho āshkār hai
hotā hai gul kī tarz se iz.hār is tarah
ye paara paara dāman-o-jeb-e-bahār hai
gulshan ke biich ye gul-e-sad-barg niiñ hai zard
ai āshiqo bahār kā rañg-e-azār hai
gulshan ke biich kahte haiñ ye jis ko lāla-zār
so nau-bahār kā jigar dāġh-dār hai
patthar se maar maar ke sar rotī hai bahār
jis ko chaman meñ kahte haiñ ye ābshār hai
ye hāl-e-ḳhasta dekh chaman meñ bahār kā
hasrat se mere dil ke upar ḳhaar ḳhaar hai
gulshan kī tarah se mujh rañgīñ-diloñ ke biich
hai ḳhushnumā vo jeb ki jo taar taar hai
sad-chāk gul kā sun ke huā jaib-e-pairahan
yaañ tak to pur asar se fuġhān-e-hazār hai
ik bulbul-e-asīr se pūchhā meñ kis liye
aane kā fasl-e-gul ke tujhe intizār hai
kahne lagī vo uqda-e-ḳhātir ko khol kar
gul gul shagufta huuñ maiñ sunūñ jo bahār hai
āñkhoñ se dil ke diid ko maan.e nahīñ nafas
āshiq ko ain-hijr meñ bhī vasl-e-yār hai
us sham.a-rū pe dil se tasadduq hai balki 'ishq'
parvāna-vār jaan se har-dam nisār hai