Mustafa Zaidi

kisi to kaam zamane ke sogwar aae

Mustafa Zaidi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1970
kisī to kaam zamāne ke sogvār aa.e
tujhe jo pā na sake ziist ko sañvār aa.e
thā jis pe va.ada-e-firdaus-o-āqibat kā madār
vo raat ham sar-e-kū-e-butāñ guzār aa.e
tire ḳhayāl pe shab-ḳhūñ to ḳhair kyā karte
bahut huā to ik ochhā sā haat maar aa.e
matā-e-dil hī bachī thī bas ik zamāne se
so ham ise bhī tirī anjuman meñ haar aa.e
baḌe ḳhulūs se ahvāl pūchhne ke liye
guzar ga.ī shab-e-furqat to mere yaar aa.e
kisī ko haal batānā zarūr hī kyā thā
us anjuman se ham apne qusūr-vār aa.e
nigāh-e-nāz mire dil ke ghaav par mat jā
ḳhudā kare ki tujhe apnā kārobār aa.e
ye aur baat ki saaqī se qarz mil na sakī
huzūr-e-hazrat-e-yazdāñ to bā-vaqār aa.e
Top Urdushayar.com