maiñ Dar rahā huuñ har ik imtihān se pahle
mire paroñ ko huā kyā uḌaan se pahle
mire nasīb meñ rastoñ kī dhuul likkhī thī
na mil sakī mujhe manzil takān se pahle
ye kaun shaḳhs thā chālāk kis qadar niklā
ki baat chheḌ gayā darmiyān se pahle
maiñ us ke dard kā darmāñ to jāntā thā magar
vo kuchh to boltā apnī zabān se pahle
tum us ke ghar kī taraf chal paḌe to ho lekin
koī paḌāv nahīñ āsmān se pahle
khaḌā huuñ aaj maiñ 'anjum' yaqīñ kī sarhad par
ajiib karb meñ gum thā gumān se pahle