Aanand Saroop Anjum

har dua hogi be-asar na samajh

Aanand Saroop Anjum

har duā hogī be-asar na samajh
aaj nāhaq hai aañkh tar na samajh
ziist mushkil sahī magar ai dost
maut āsān rahguzar na samajh
hausla rakh tū rahrav-e-manzil
thak ke raste ko apnā ghar na samajh
pūjtā huuñ maiñ pattharoñ ke sanam
mere dil meñ hai koī Dar na samajh
jā-ba-jā sun tū merī sargoshī
maiñ fazā meñ huuñ muntashir na samajh
jin charāġhoñ kī lau bahut kam hai
un charāġhoñ ko mo'atabar na samajh
maiñ tahī-dast muflis-o-nādār
tū mujhe dast-e-be-hunar na samajh
maiñ huuñ qaa.il tirī parastish kā
tujh se māñgūñgā maiñ guhar na samajh
terī dastak kā muntazir 'anjum'
shahr meñ hogā koī dar na samajh
Top Urdushayar.com