ho ga.e āñgan judā aur rāste bhī baT ga.e
kyā huā ye log kyuuñ ik dūsre se kaT ga.e
ġham ne har ik rāste meñ khol rakkhā thā mahāz
ham bhī chehre par hañsī kā ḳhol le kar DaT ga.e
nafratoñ kī dhuup jhulsāne lagī har shaḳhs ko
pyaar ke us shahr meñ sab peḌ kaise kaT ga.e
Dar kī jab saarī haqīqat munkashif ham par huī
ḳhud-baḳhud Dar ke sabhī saa.e achānak haT ga.e
kaun jaane kis nasheman par girī haiñ bijliyāñ
kis taraf TuuTe hue tāroñ ke ye jhurmaT ga.e
mo'atabar hone lagīñ jab bazm meñ tārīkiyāñ
ḳhāmushī kī oT meñ ham log pīchhe haT ga.e
ghar se ai 'anjum' zarā bāhar nikal kar dekhnā
log kahte haiñ ki ab tārīk bādal chhaT ga.e