Aanand Saroop Anjum

lahu lahu aarzu badan ka lihaf hoga

Aanand Saroop Anjum

lahū lahū aarzū badan kā lihāf hogā
vo kitnā buzdil hai aaj ye inkishāf hogā
mirī har ik baat thī haqā.eq kī raushnī meñ
ye jāntā thā zamāna mere ḳhilāf hogā
haqīqatoñ ke charāġh har-sū jalā ke rakhnā
mujhe yaqīñ hai ki jhuuT kā in.etāf hogā
ye ġham nahīñ hai shanāḳht apnī maiñ kho chukā huuñ
tumhārī hastī se kab mujhe inhirāf hogā
na khoj ḳhud ko purāne kal kī kahāniyoñ meñ
purānā kal to shikast kā e'tirāf hogā
hamārī bātoñ meñ koī pechīdgī nahīñ hai
hamārī bātoñ se kab use iḳhtilāf hogā
rumūz-e-ālam pe dastaras us ko hogī hāsil
vo shaḳhs kirdār jis kā shaffaf-o-sāf hogā
sazā ke Dar se abas tū ghabrā rahā hai 'anjum'
qusūr pahlā to har kisī ko muaaf hogā
Top Urdushayar.com