chale to kaT hī jā.egā safar āhista āhista
ham us ke paas jaate haiñ magar āhista āhista
abhī tāroñ se khelo chāñd kī kirnoñ se iThlāo
milegī us ke chehre kī sahar āhista āhista
darīchoñ ko to dekho chilmanoñ ke raaz to samjho
uTheñge parda-hā-e-bām-o-dar āhista āhista
zamāne bhar kī kaifiyat simaT aa.egī sāġhar meñ
piyo un añkhḌiyoñ ke naam par āhista āhista
yūñhī ik roz apne dil kā qissa bhī sunā denā
ḳhitāb āhista āhista nazar āhista āhista