Aanand Saroop Anjum

uske chehre pe tabassum ki ziya aaegi

Aanand Saroop Anjum

us ke chehre pe tabassum kī ziyā aa.egī
vo mujhe yaad karegā to hayā aa.egī
oḌh kar jism pe yādoñ kī ridā aa.egī
jab bhī maazī ke jharokoñ se havā aa.egī
kaun mazlūm kī fariyād sunegā nā-haq
lauT kar dasht meñ ḳhud apnī sadā aa.egī
kis qadar bikhrā huā huuñ maiñ bichhaḌ ke tujh se
yaad ab kis kī mujhe tere sivā aa.egī
band kamroñ meñ kisī ko bhī ye ehsās na thā
dar khuleñge to bahut tez havā aa.egī
ġhair-mānūs fazāoñ meñ to ḳhush huuñ lekin
jaane kis moḌ pe mānūs fazā aa.egī
naam to apnā gunahgāroñ kī fihrist meñ likh
tere hisse meñ bhī rañgīn qabā aa.egī
zindagī sab se judā guzregī apnī 'anjum'
maut bhī aa.ī to vo sab se judā aa.egī
Top Urdushayar.com