āsmāñ sāhil samundar aur maiñ
khultā phir yādoñ kā daftar aur maiñ
chaar samteñ ā.īna sī har taraf
tum ko kho dene kā manzar aur maiñ
merā ujlā-pan na.e andāz meñ
terī baḳhshish mailī chādar aur maiñ
ek mūrat meñ tajrabe nit-na.e
kitne be-kal merā aazar aur maiñ
khulte haiñ asrār ajab ālām meñ
band hotā vo har ik dar aur maiñ
raat ik tārīk piñjrā yaas kā
phaḌphaḌātā ek paikar aur maiñ