Azra Parveen

ab apni chiKH bhi kya apni be zabani kya

Azra Parveen

Unnao, Uttar pradesh, India

ab apnī chīḳh bhī kyā apnī be zabānī kyā
mahz asīroñ kī mahsūr zindagānī kyā
ruteñ jo tū ne utārī haiñ ḳhuub hoñgī magar
babūl-sej pe sajtī hai gul-fishānī kyā
hai jism ek tazādāt ke ka.ī ḳhāne
karegā par inheñ ik rañg-e-āsmānī kyā
hazār karvaTeñ jhankār hī sunātī haiñ
yuuñ jhaTpaTāne se zanjīr hogī paanī kyā
zamīñ ke aur taqāze falak kuchh aur kahe
qalam bhī chup hai ki ab moḌ le kahānī kyā
anā to qaid kī tash.hīr se gurezāñ thī
pukār uTThī magar merī be-zabānī kyā
maiñ ḳhushk naḳhl sī jañgal tavīl tez havā
bikher degī mujhe bhī ye be-makānī kyā
Top Urdushayar.com