be-ḳhudā hone ke Dar meñ be-sabab rotā rahā
dil ke chauthe āsmāñ par kaun shab rotā rahā
kyā ajab āvāz thī sote shikārī jaag uThe
par vo ik ghāyal parinda jāñ-ba-lab rotā rahā
jaate jaate phir december ne kahā kuchh maañg le
ḳhālī āñkhoñ se magar dil be-talab rotā rahā
maiñ ne phir april ke hāthoñ se dil ko chhū liyā
aur dil sāyoñ se lipTā saarī shab rotā rahā
us ne mere naam sūraj chāñd taare likh diyā
merā dil miTTī pe rakh apne lab rotā rahā