ġham-e-daurāñ ne bhī sīkhe ġham-e-jānāñ ke chalan
vahī sochī huī chāleñ vahī be-sāḳhta-pan
vahī iqrār meñ inkār ke lākhoñ pahlū
vahī hoñToñ pe tabassum vahī abrū pe shikan
kis ko dekhā hai ki pindār-e-nazar ke bā-vasf
ek lamhe ke liye ruk ga.ī dil kī dhaḌkan
kaun sī fasl meñ is baar mile haiñ tujh se
ki na parvā-e-garebāñ hai na fikr-e-dāman
ab to chubhtī hai havā barf ke maidānoñ kī
un dinoñ jism ke ehsās se jaltā thā badan
aisī suunī to kabhī shām-e-ġharībāñ bhī na thī
dil bujhe jaate haiñ ai tīrgī-e-sub.h-e-vatan