ā.īna jism se hai mulāqāt ke liye
betāb sī hai ruuh tirī zaat ke liye
milnā thā rab se kar ke badan ko misāl-e-ḳhāk
is ko sañvāre jaate the kis baat ke liye
pursān-e-hāl hashr meñ koī nahīñ hai aaj
bechain sab haiñ terī ināyāt ke liye
gar kuchh nahīñ to ashk-e-nadāmat hī hote saath
nazrāna kuchh to hotā tirī zaat ke liye
'nīlam' amal ke jalte charāġhoñ ko rakhnā saath
kuchh raushnī to chāhiye is raat ke liye