har dam mire ehsās pe chhāyā hai koī aur
likhvātā koī aur hai likhtā hai koī aur
āñkhoñ se chhalak paḌte haiñ ehsās ke motī
dhāge meñ magar in ko pirotā hai koī aur
koshish se faqat apnī bhī likh paayā hai koī
hai to ye qalam merā chalātā hai koī aur
bikhre hue jo mere ḳhayālāt haiñ in ko
ehsās se tahrīr meñ laatā hai koī aur
likh paatī huuñ maiñ kab bhalā jazbāt ko apne
alfāz ko kāġhaz pe sajātā hai koī aur
'nīlam' maiñ jahāñ meñ to bas ik zarra huuñ lekin
is zarre kī auqāt baḌhātā hai koī aur