usī tarah ke shab-o-roz haiñ vahī duniyā
purānī ḳhaak pe ta.amīr hai na.ī duniyā
maiñ apne aap meñ gum thā mujhe ḳhabar na huī
guzar rahī thī mujhe rauñdtī huī duniyā
har aadmī ko ye duniyā badal ke rakh degī
badal sakā na agar ab bhī aadmī duniyā
na.ī havā ko madad ke liye pukārtī hai
ḳhud apnī aag meñ jaltī huī na.ī duniyā
maiñ jis havāle se duniyā pe ġhaur kartā huuñ
usī tarah se kabhī kaash sochtī duniyā
maiñ apne asl kī jānib ravāñ-davāñ huuñ aur
bulā rahī hai musalsal mujhe mirī duniyā