kabhī jo rāsta hamvār karne lagtā huuñ
kuchh aur bhī use dushvār karne lagtā huuñ
mire vajūd ke andar bhaḌakne lagtā hai
jab us charāġh kā inkār karne lagtā huuñ
nazar meñ laatā huuñ us chashm-e-nīm-bāz ko maiñ
aur apne aap ko bīmār karne lagtā huuñ
jahāñ bhī koī zarā hañs ke baat kartā hai
maiñ apne zaḳhm numūdār karne lagtā huuñ
vo shor hotā hai ḳhvāboñ meñ 'āftāb' 'husain'
ki ḳhud ko niind se bedār karne lagtā huuñ