Aftab Hussain

tumhaare baad raha kya hai dekhne ke liye

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
tumhāre baad rahā kyā hai dekhne ke liye
agarche ek zamāna hai dekhne ke liye
koī nahīñ jo varā-e-nazar bhī dekh sake
har ek ne use dekhā hai dekhne ke liye
badal rahe haiñ zamāne ke rañg kyā kyā dekh
nazar uThā ki ye duniyā hai dekhne ke liye
zarā jo fursat-e-nazzārgī mayassar ho
to ek pal meñ bhī kyā kyā hai dekhne ke liye
guzar rahā hai jo chehre pe haath rakkhe hue
ye dil usī ko tarastā hai dekhne ke liye
nahīñ hai tāb-e-nazzāra hī 'āftāb' husain
vagarna dahr meñ kyā kyā hai dekhne ke liye
Top Urdushayar.com