Aftab Hussain

rasta KHwab ke andar se nikalta hua tha

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
rāsta ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
koī kyā ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
vo mahak thī ki mujhe niiñd sī aane lagī thī
phuul sā ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
ye kisī ḳhvāb kā ahvāl nahīñ hai ki maiñ ḳhvāb
dekhtā ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
ḳhvāb the jaise parindoñ ne pare bāñdhe hoñ
silsila ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
mujh ko duniyā ke samajhne meñ zarā der lagī
maiñ zarā ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
nazar uThtī thī jidhar bhī mirī manzar manzar
zāviya ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
vo nikaltā huā thā ḳhvāb-kade se apne
ḳhvāb thā ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
ik sirā jā ke pahuñchtā thā tirī yādoñ tak
dūsrā ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
kyā batā.ūñ koī īmān kahāñ lā.egā
ki ḳhudā ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
sub.h jab aañkh khulī logoñ kī logoñ pe khulā
jo bhī thā ḳhvāb ke andar se nikaltā huā thā
Top Urdushayar.com