Aftab Hussain

bas ek baat ki usko KHabar zaruri hai

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
bas ek baat kī us ko ḳhabar zarūrī hai
ki vo hamāre liye kis qadar zarūrī hai
diloñ meñ dard kī daulat bachā bachā ke rakho
ye vo matā.a hai jo umr bhar zarūrī hai
nahīñ zarūr ki maqdūr ho to saath rakheñ
kabhī-kabhār magar nauhagar zarūrī hai
kabhī to khel parinde bhī haar jaate haiñ
havā kahīñ kī bhī ho mustaqar zarūrī hai
ye kyā zarūr ki mast apne aap hī meñ raheñ
idhar udhar kī bhī kuchh kuchh ḳhabar zarūrī hai
mafar nahīñ ġham-e-duniyā se 'āftāb-husain'
bahut kaThin hai ye manzil magar zarūrī hai
Top Urdushayar.com