baiThā huuñ siyah-baḳht o mukaddar isī ghar meñ
utrā thā mirā māh-e-munavvar isī ghar meñ
ai saañs kī ḳhushbū lab-o-āriz ke pasīne
kholā thā mire dost ne bistar isī ghar meñ
chaTkī thiiñ isī kunj meñ us hoñT kī kaliyāñ
mahke the vo auqāt-e-mayassar isī ghar meñ
afsāna-dar-afsāna thī muḌtī huī sīḌhī
ash.ār-dar-ash.ār thā har dar isī ghar meñ
hotī thī harīfāna bhī har baat pe ik baat
rahtī thī raqībāna bhī aksar isī ghar meñ
sharminda huā thā yahīñ pindār-e-imārat
chamkā thā faqīroñ kā muqaddar isī ghar meñ
vo jin ke dar-e-nāz pe jhuktā thā zamāna
aate the baḌī duur se chal kar isī ghar meñ