Aftab Hussain

fasil-e-shahr-e-tamanna mein dar banate hue

Aftab Hussain

Talagang, Punjab, Pakistan

1962
fasīl-e-shahr-e-tamannā meñ dar banāte hue
ye kaun dil meñ dar aayā hai ghar banāte hue
nasheb-e-chashm-e-tamāshā banā gayā mujh ko
kahīñ bulandi-e-ayyām par banāte hue
maiñ kyā kahūñ ki abhī koī pesh-raft nahīñ
guzar rahā huuñ abhī rahguzar banāte hue
kise ḳhabar hai ki kitne nujūm TuuT gire
shab-e-siyāh se rañg-e-sahar banāte hue
pate kī baat bhī muñh se nikal hī jaatī hai
kabhī kabhī koī jhūTī ḳhabar banāte hue
magar ye dil mirā ye tā.ir-e-bahisht mirā
utar hī aayā kahīñ mustaqar banāte hue
diloñ ke baab meñ kyā daḳhl 'āftāb-husain'
so baat phail ga.ī muḳhtasar banāte hue
Top Urdushayar.com